Archive for January 28th, 2007

kaun kahata hai…

kaun kahata hai ke maut aai to mar jaauunga
main to dariya hoon samandar mein utar jaauunga

tera dar chhorh ke main aur kidhar jaauunga
ghar mein ghir jaauunga sahara mein bikhar jaauunga

tere pahalu se jo uthuunga to mushkil ye hai
sirf ik shakhs ko paauunga jidhar jaauunga

ab tere shahar mein aaoonga musaafir ki tarah
saayaa-e-abr ki manind guzar jaaunga

tera paimaan-e-vafaa raah ki diivaar bana
warna socha tha ke jab chaahungaa mar jaaunga

charasazon se alag hai mera mayaar ke main
zakhm khaaunga to kuch aur sanvar jaaun ga

ab to Khurshiid ko Duube hue sadiyaan guzariin
ab use DhunDhane main taa-ba-sahar jaaunga

zindagii shamma ki maanind jalaata hoon ‘Nadeem’
bujh to jaaunga magar subah to kar jaaunga