Zakham itne gehre hai izhaar kya kare
Hum kHud nishana ban gaye var kya kare
Mar gae hum magar khuli rahi aankhe
Abg is se zyada unka intezaar kya kare…….
me. thoughts. fun. LOL. Diary.
Zakham itne gehre hai izhaar kya kare
Hum kHud nishana ban gaye var kya kare
Mar gae hum magar khuli rahi aankhe
Abg is se zyada unka intezaar kya kare…….
kaun kahata hai ke maut aai to mar jaauunga
main to dariya hoon samandar mein utar jaauunga
tera dar chhorh ke main aur kidhar jaauunga
ghar mein ghir jaauunga sahara mein bikhar jaauunga
tere pahalu se jo uthuunga to mushkil ye hai
sirf ik shakhs ko paauunga jidhar jaauunga
ab tere shahar mein aaoonga musaafir ki tarah
saayaa-e-abr ki manind guzar jaaunga
tera paimaan-e-vafaa raah ki diivaar bana
warna socha tha ke jab chaahungaa mar jaaunga
charasazon se alag hai mera mayaar ke main
zakhm khaaunga to kuch aur sanvar jaaun ga
ab to Khurshiid ko Duube hue sadiyaan guzariin
ab use DhunDhane main taa-ba-sahar jaaunga
zindagii shamma ki maanind jalaata hoon ‘Nadeem’
bujh to jaaunga magar subah to kar jaaunga
Recent Comments